Tumse jab milta hun
Tumse jab milta hun,
Tum dekh bhi nahi pati
Mere akhon ke anshu
Jane kya ho jata hai,
Mai bhul jata akeli raten
Anginat anshu aur siskiyan…
Tumse jab baten karu,
Awaj bhi deti hai dhokha
Gham ke namo-nishan - dikhate hi nahin…
Jane kya ho jata hai,
Mai bhul jata woh intajaar
Anginat apaar…
Tumko jab dekhun,
To mai ji leta hun vartamaan
Bhul jata ateet aur dam-ghuti chahaten
Jane kya ho jata hai,
Mai bhul jata tute wade
Anginat antaheen…
Tumse jab milta hun,
Tumhe pata hi nahi chal pata hai
Kal tak ka mere dil ka haal
Mera pyaar…