
(Stories V2)
Kittu Ne Sunayi Kahani
“Ye galat baat hai!”
“Kya galat hai? Woh mera kuchh nahi bigad sakta!”
“Aise nahi chalta. Hame aisa nahi karna chahiye.” Kittu ne pareshan ho kar kaha. “Tumne woh kahani nahi suni kya? Papa ne mujhe sunayi thi”
Kahani ki baat sunte hi sare bachche Kittu ke paas ikatthe ho gaye.
“Tumhe aisa lagta hai na ki tumse chote aur kamjor bachchon ki tumhe koi jarurat nahi aur is lie tum unhe pareshan kar sakte ho? To mai tumhe ek kutte aur chidiyon ki kahani sunati hun. Papa ne mujhe ye kahani sunayi thi”.
Kutton ko apni jagah bahut pyari hoti hai. Woh jis jagah rahte hain, uske lie bahut touchy ho jate hain. Doosre kutton ko us jagah ke paas nahi ane dete aur bhonk bhonk kar unhe bhaga dete hain. Tommy bhi ek aisa hi kutta tha.
Woh us toffees ki dukan ke paas wale corner par rahta tha. Bahut se bachche toffee kharidne wahan ate the. Ek ice cream wala har sham wahin par ata. To in sab karano se woh jagah bahut achchi thi aur baki sab kutte bhi wahan ana chahte the. Par tommy unhe bhaga deta. Kabhi kabhi jab uska birthday hota ya koi holi diwali hoti to woh baki kutton ko wahan ane deta aur sab ko party deta - khub sare toffees aur chocolates aur ice cream ke dabbe - chaatne ke lie :)
“Woh dekhne me kaisa tha?” Rajiv ne interrupt kar diya.
“Ok, woh chhota sa tha brown sa, aur uske shareer par baal nahi the. Par uske kaan bahut bade bade the, latakte hue. Aur uska naak kala tha.”
“Bahut se Kutton ke naak hamesha kale kyon hote hain?” Ye Rashmi thi!
Kittu ke papa ne use sikhaya tha ki questions ane par pareshan nahi hona. Kittu ne soch kar kaha:
“Hamare sar ke baal kale hote hain na? Chuki kutton ke sar par kale baal nahi hote, to bhagwan ne unka naak hi kala bana diya.” "Kahin par kala rahne se najar nahi lagti”
“Ok, isi lie Babu ki mommy uske mathe par cute sa kala teeka karti hai!”
“Haan.” “Arre, age kahani to suno!”
“ok ok”
Us jagah ke paas bahut se ped the aur wahan bahut si chidiyan rahti thin. Jab Tommy so jata, to woh chidiyan wahan aa kar jameen par se chun chun kar dane aur kide kha letin. Par unhe Tommy ka bada atank tha.
“Woh kyon”
Kyonki Tommy unhe apne corner par se kuchh bhi khane nahi deta tha. Woh bhi Sonu jaisa tha.
Sab bachche hassne lage. Sonu gussa ho gaya, aur bola:
“Mere jaise ka kya matlab?
Actually, Tommy bhi sochta tha ki us se kamjor janwaron se use koi help nahi mil sakti, is lie woh unhe pareshan kar sakta tha.
Jab bhi koi chidiya dane khane wahan ati, Tommy daurta hua ata aur unhe dara kar bhaga deta. Chidiya bahut pareshan ho gayin. Unhe isi karan door ke park me khana lane jana hota.
Kittu ne dekha bachche bade gaur se sun rahe the.
Ek baar bahut dinon se barish ho rahi thi, aur sab kuchh geela geela tha. Ek chidiya ka bachcha bimar tha, aur woh bhi thak gayi thi. Usne dekha Tommy so raha tha. Woh chupke se neeche ayi aur dana ikattha karne lagi. Jaldi se fir apne ghosle me rakh ayi, aur fir wapas aa gayi. Abhi woh wahin thi ki achanak Tommy jag gaya!
“Oh my God!”
Haan, aur woh daudta hua aya aur chidiya ko bhaga diya. Chidiya bahut udaas ho gayi.
Sunday ko usne Tommy ke bare me apne group me sab ko bataya. Group ka leader ek Kabutar tha. Usne kaha ki woh Tommy se baat karega.
Agle subah woh Leader Kabutar (Neta ji :) Tommy ke paas gaya. Usne Tommy ko samjhaya ki sab ko mil-jul rahna chahiye aur use chidiyon ki madad kani chahiye. Akhir thode se dane kha lene se Tommy ka kya bigad jata?
“Haan, mujhe bhi aisa lagta hai.”: Ye Anjali thi - hamesha sochti rahti aur buddhiman batein karti :)
Ok.. Par Tommy ne Leader Kabutar ki baat nahi mani. Usne ghamand se theek wahi kaha jaisa Sonu ne kaha tha: “Tum chidiyan mera kuchh nahi bigad sakti!”
“Fir kya hua?” Teenu ko thori jyada jaldbaji thi.
To fir chidiyon ne Tommy ko akela chhor diya. Ab woh door ke park se khana lane jatin. Tommy bhi khush tha, ab use chidiyon ko dekh kar gussa nahi ata aur woh aram se apne corner ko akele enjoy karta.
Par ek din ek ajeeb si gadi udhar se gujari. Tommy so raha tha, uska pet kharab chal raha tha, to woh kamjor ho gaya tha. Chidiyon ne dekha us gadi ko - blue color ki gadi thi jisme net lage the sheeshe ki jagah.
“Woh kaisi gadi thi? : Teenu
Woh kutte pakadne wali gadi thi. Shahar me dogs bahut jyada ho gaye the aur kuchh logon ne sarkar se uski shikayat ki thi. To police ayi thi us gadi ko le kar. Woh kutton ke paas jate, unke gale me ek janjeer bandh dete chupke se, aur fir unhe bore me band karke gadi me bhar lete. Pata nahi baad me unke saath kya karte, kahan le jate…
“Tumne papa se nahi poochha?”
Haan, bhool gayi. Shayad unhe pakad kar jail me band kar dete honge jahan chor daku band rahte hain. Shayad unki pitai bhi karte honge…
“Bahut bura hai ye! Mere Rocky ko bhi woh pakadenge kya? Aur mere papa bhi to police me hain, par unhe to kutton se pyar hai, woh aisa nahi kar sakte!”: Ye Balram tha - bahut gussail aur aisi hi stupid batein karta :)
Arre, sare police wale kutton ke police nahi hote - malum hai na, sare doctors janwaron ke doctor nahi hote. Aur woh sirf gali ke kutton ko pakadte hain, jinka ghar nahi hota. Tumhare Rocky ko woh nahi pakadenge.
“Thank you Bhagwan ji…”: Balram
Ok, to Tommy to so raha tha. Use kuchh pata nahi chala. Par chidiyon ko pata chal gaya. Unhone socha ki kya karna chahiye. Agar woh police wale Tommy ko pakad kar le jate to fir unhe woh corner khali mil jata aur life asan ho jati. Par fir unhone socha ki Tommy ko woh log jail me band kar denge, pata nahi use khana den ya nahi aur use wahan kitni pareshani ho…
“Aise Tommy itna bura nahi hai. Usne kabhi hamare ghoslon ya bachchon par attack nahi kiya na?” Chhoti maina boli.
Fir chidiyon ne decide kiya ki woh Tommy ki help karengi. Woh Tommy ke paas gayin par wahan ka scene dekh kar woh dar gayin!
“Kyon? Kya woh pakada ja chuka tha? : Sonu.
Nahi, woh use pakadne hi wale the aur Tommy abhi bhi so raha tha! Fir sari chidiyan ek saath chillane lagin!
Turat Tommy ki nind khuli aur woh chidiyon ko bhagane ke lie dauda! Use aisi hi adat ho gayi thi.
Pas usne dekha ki wahan to chidiyan nahi thin. Sab upar asman me thin. Woh wapas muda, tabhi kutte pakadne wale policemen ne use pakadne ki koshish ki.. Woh bhagne laga aur police ne uska gaadi se peechha kiya. Woh bhagta raha, bhagta raha. Polce wale use chhorne nahi wale the. Par ant me woh bachme ne safal ho gaya!!! Aur Police ki gadi wapas chali gayi!!!
“Achcha hua!”: Sab khush ho gaye.
Par ab Tommy samajh gaya ki unhi chidiyon ne uski jaan bachayi hai jinhe woh bahut pareshan karta tha. Usne chidiyon se mafi mangi, sorry kaha, aur us din ke baad se kabhi pareshan na karne ka wada kiya!
Kabutar ne use samjhaya ki sab ko mil-jul kar rahni chahiye, aur use apne se kamjor jeewon ki help karni chahiye na ki unhe pareshan karna. Tommy apni galti samajh chuka tha… Fir us din ke baad Tommy aur sare chidiyan khushi se rahne lage. Ab aksar chidiyan Tommy ke paas atin aur woh saath me chhua-chhuant aur bahut se khel khelte.
“Ab Sonu, tum hi batao. Abhi bhi tum Raju ko preshan karoge? Sirf is lie ki woh tumse chhota hai aur tum us se jyada takatwar ho?”
“Ok, maine kab pareshan kiya Raju ko? Woh to aise hi khel khel me thoda tease kiya tha…”: Ye Sonu tha - uski mommy kahti use politics me jana chahiye tha :)
"Theek hai, to donon haan milao! Aur dost ban jao!"
Sonu aur Raju ne haath milaya, aur sonu ne apne pocket se nikal kar Raju ko ek toffee gift ki.
“Arre, ye toffee kya Tommy ke corner ki dukan se hai?”
“Haan.”
Sab hassne lage. Aur Kittu bhi apne ghar ki or bhagi - der ho rahi thi aur use homework bhi karna tha.
(Rahul)