Archive for the ‘Dhool Ka Phool’ category

Dhool ka Phool

August 9th, 2007

Dhool ka Phool


“Kya Mere Liye Ab……….


Koi Aasha Nahin?


Mere Prati !


Tum itani krur kyon ho gayi ho?’


“Jab Hum Phool ki


Pankhuriyon ko Nochkar phenk dete hain,


Tab phool ko


Kaisa Lagta hoga……………


Ab samajh me Aaya hai


Unhin Nuchi Pankhuriyon par…………..


Baithi hun mai !”


‘Kuchh rekhayen Aisi hoti hain


Jinhain……


Samay Nahi meeta sakta.


Bhulna kya hota hai ?


Man samajhane ki baatain…………..


Kaayaron ke bahaane !’


Shabd ! Shabdon me judte jate


Aur


Wakya Abadh gati se


Phisalta Rahta……………….


Kalam kagaj par chalta rehta


Aur


Itihaas Ziwan main aa jata !


Alag hone ke baad……………


“Mujhey rakh ke dher par


Chalna hoga


Na jane…………….


Kaun sa angara


Reh jaye dahakta aur


Pawon ko kar de zakhmi !


Dil ka zakhm liye to


Chala hin hun


Mai kya hun…………………Uske bina


Kewal


Ek chhaya….


Ek chalti phirti lash


Ek kati patang


Jiski dor………….


Toot chuki hai kab kahan.


Gir jaye aur kaun


Loot ke le jaye…………..


Khud nahin janta !


Ek khoye swar ki Pratidhwani


Aur


Ab aisa hin rahunga


Man ki viraniyon mai Bhatakte huye !


Mai sochta raha……..


Phool Toot toot kar Girte rahe


Aur


Dhool ke Bagule Sadak par mandrate rahe !


…………..SANTOSH

2011  |  A Rediff.com India Ltd. Site.