Raasta
Bhoole se chalaa aayaa tha jo
kisee din meri dahleez par,
wo raasta aaj bhi
mere dwaar par thahraa hai……….
ham darwaaze par khade,
buttt bane, aplak use dekhte rahe,
nazar bhi kuchh yun doobi
ke fir nahi ubri,
us ki chaahton ka
dariyaa hi itnaa gahraa hai….
Us ke sawaalon ne
jaise hont hi sil diye hon,
Kuchh na kah paaye ham,
jawaab me bas kuchh aansoo
chhalak pade,
Shiqwaa kyaa Karen us se,
ilzaam bhi kyaa den !!!!!!!
uski khwaahishon ka
rang to sunhraa hai ,
bahut gahraa hai. hai. .
-saroj