Skip to content


dilbar key khayaal jab din bhar mein samaayey…

is mehfil mein ho tum
lekin dikhtey nahin…
ek ehsaas ho tum jissey mera dil bharta nahin…


ab is mehfil ko sjaya hai baarish ney
aur savara ek mehakti hawa nein…
sochti hoon shayad tumhey patta hoga
ki kya haal hai merey mann ka…
is bheegey bheegey mausam mein…

garaj raha hai aasmaan
 ek sinh samaan…
aur baarish ki dhar ho rahi hai tez
har ek pal key baad…
karti hoon is zindagi ko dhayawaad …
muskuraatey huay
karti hoon salaam us ooper walley ko
ki banaya hai usney mujhey kuch alag sey..
.aur tumhey
bilkul merey jaisey…

ab ho gayi hai raat aur khatam hui weh barsaat…
hawa mehak rahi hai champa ki khushoo sey
aur samundar ney cheda hai ek naya saaz…
yeh sab kar rahey hain mujhey betaab
yeh sab bula rahey hain mujhey baahar!
shaayad yehi hai maqsad is mausam ka…
ki bula rahi hai mujhey yeh raat…

aasmaanoan mein badal bhikhir rahey hain…
aur ek ek karkey sitarey muskura rahey hain…j
agmaga rahey hain merey mann ko yeh
yaad dila rahey hain mujhko tumhaari yeh
ki aisey hi tumhari ankhein khil jaati hain
aur merey mann ko ujwalit kar deti hain…

Posted in Uncategorized.



One Response

Stay in touch with the conversation, subscribe to the RSS feed for comments on this post.

  1. string y says

    Um!
    You’re such a green inside….I wonder!
    Loved it..:)