Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Wo madhur bansi ki taan tumahari
Kahan rooth kar chali gai
Hamare karn-patal ko chhod kar
Kahan chale gaye Gobind
Apne gaiyo bachado se pichha chhuda kar
Gaiyan bhi ab rambhati nahi hai
Nahi bachade karte hain gaiyo se kilol
Aa jao, Aa Jao
Apne Gauon ke Pukar par
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Yamuna ke tire dekho koi ab hume nahi pukarta
phir bhi man daud daud jata hai aur nirash sa
laut aata hai
Jis raste tum gaye the Mathura
Us raste par dekho hum roz baith
baat johate hain
Aa Jao, Aa Jao
Us raste Par apne charan kamal rakh kar.
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Ab to laut ke aa jao Murari
Kis se hui hai bhul,
Kaisi hui hai bhul
jiski saza
Samast jan ko de rahe ho
Kitne hi papiyo ka uddhar kiya hai tumne
Ab hume bhi daras dikha do
Humse jo apradh hua uski saza do
Lekin saza ke bahane hi apni surat to dikha jao
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Ab agar aaye to hum jane na denge
Bahot chhala hai tumne hamare man ko
Kyun ki Hum gaon wale hain
Kyu, hamare pyar par hamari bali chahate ho.
Aa jao, dekho humne makhan nikale hain
Tumhare liye
Humne ankhe band kar li hain dekho
le jao Hamare makhan chupke se hi chura kar
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Chalo chhodo ab aur mat satao
Hamari fikar na sahi
Yashoda maiya aur Nand Baba
To tumhe yaad aate honge
Unki hi ankho ke ansu to ponch jao
Aa jao Natkhat shyam.
Dekho gopiyon ne nachana chhod diya
Ab to tumhare bina chandani ne barasna chhod diya
chand bhi ab humse rutha rutha lagata hai
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
Dekho to kaisi bawali hui hai Radha
Radha ke khatir aa jao
Dekho kaise sawan me byakul hain jhule
Un jholo ke khatir aa jao
Dekho,
Ab suraj bhi madhyam madhyam sa ab to aata hai
Jugnu bhi ab kam hi chamka karte hai
Holi diwali bhi ab yahan koi nahi manata
In sab ki khatir hi
Aa jao Aa Jao
Sari khusiyan le kar ek baar phir se aa jao
Kahan chale Gaye mohan,
Brindavan ko tyag kar.
tumko dhoondhe nain bawre …. O Shyam Sanwre… O Shyaam Sanware…..!