Aaj desh par laga desh ka swabhimaan senani….
Aur pada soya tu kaise jaag veer balidani……….!
1- Bharat maa ne tha tujhko pourush ka paath padhaya…
Balipath par tune aage hi aage kadam badhaaya……..!!
Lekin aaj kaun si tujh par hay pad gayee chhaaya…..
Sab kuchh loota ja raha lekin hosh na tujhko aaya..!!
Re drag khol aur padh pichhali gauravpurn kahani……
Aaj desh par laga desh ka swabhimaan senani….
Aur pada soya tu kaise jaag veer balidani……….!
2- Videshiyon ke chhadm jaal me fansa desh ye saara..,
Asam kate aur tamil kate, katata kashmeer humara….!!
Bhai ko bhai se apne ladwate katwate…………..,
Hay hant ! hum kintu na unki chaal samajh hai pate…!!
Apne hi sab rishte naate tut rahe jismaani……,
Aaj desh par laga desh ka swabhimaan senani….
Aur pada soya tu kaise jaag veer balidani……….!
3- Apraadhon ka asur chaturdik jhanda gaadh raha hai….,
Bahin betiyon ki ijjat se ho khilwaad raha hai………..!!
Ha - Hakaar macha dharti par bhari maara maari….,
Rishiyon ki santano tum par kyon chadh rahi khumaari…!!
Jaag rashtra ke paurush, jaage soyee hui jawaani……,
Aaj desh par laga desh ka swabhimaan senani….
Aur pada soya tu kaise jaag veer balidani……….!
4- Suraj ruke, chandrama roye., Reete sagar ka jal…,
Aaj hawaon ne karni hai phir se koi hul-chul…….!!
Ijjat lagi daanv par apni jaago use bachaa lo……,
Nayee vichaar kranti ka lao phir se bigul bajao….!!
Udaseen Arjun phir se padh geeta wali vaani…….,
Aaj desh par laga desh ka swabhimaan senani….
Aur pada soya tu kaise jaag veer balidani……….!
Very nice poem shreya. nice name shreya you male or female?? I like your all poems.
very nice poem. Could you teach me pure Hindi as you write? …..Keep it up. Happy Valentine Day.
meaningful poem …. keep it up..
wow shreya ji………its fabulous……….very energetic thoughts……
Bahut Sundar Rachnaa hai……Bhaee Tiwaree ji aapko saadar naman…..