Unse mulakat hui aise jaise khuda ki hampe barkat ho,itni jaldi wo kareeb hue
shayad zindagi ki koi harkat ho.
Wo kuch na kahein to lagta hai
ye duniya ek khandar hai,
jaise zindagi ko saanson ki zarurat ho.
Ek dil hai mere paas
shayad tumhari amanat hai,
dharakta hai par tanha hai
shayad ise jazbato ki zarurat hai.
Tum le jao ise to,
ham dono par meherbani ho
hamari mohabbat to hai,
par ab ise tumhari mahabbat ki zarurat hai.
Har gulshan tumhari khusboo se mehekta hai,
har sagar tumhari umango se uchalta hai
tumhari aankhon se suraj ki roshni hai,
tumahari saanson par hawa apna rukh badalta hai.
Friends' Update
-
Loading ...Please wait..
Great effort Suman,
wonderful.