Bhaiya dooj.
Doston.
Ye to aap sabhi ko maloom hi hoga ki Yamraj ()Dharmraj) aur Yamuna ji sage bhai-bahan hain. Aur Shanidev unke sautele bhai Hain. Sautele ka tatparya yhan ye hai ki Pita to Surya Dev hi hain lekin Shanidev ki mata ka naam chhaya tha, aur Yamraj evam Yamuna ki maa ka naam sandhya tha.
Ek baar Yamuna ji apne bhai yamraj se milane k liye yamlok gayi. Lekin durbhagya se us samay Yamraj ji kisi kaam se kahin gaye huye the. Isliye yamunaji ko apne bhai ka ruk kar intzaar karna pad gaya. Jabki Yamraj lautkar aaye aur apni Bahan Yamuna ko dekha to bahut khus huye. Aur bole ki bahan, tumne kyun aane ka kast kiya. Mujhe hi bula liya hota to main aa jata. Yamuna ne kaha ki nahin bhaiya. Aap ko dekhe aur mile huye bahut din ho gaye the. Isliye maine socha ki main hi chalkar apne bhai se mil aati hoon. Bas, yeh soch kar main aapse milne chali aayi. Lekin aap ghar par the nahin isliye thoda intzaar karna pad gaya. Intzaar ki baat sunkar yamraj ko bada dukh hua. Unhone ne kaha ki bahan main tumhe ek vardan deta hoon ki aaj k din jo koi bhi bahan apne bhai se milegi ya milne k liye jayegi, use mera yani yamraj ka fansh (maut ka fanda) nahin lagega. Arthat use yamlok nahin aana padega aur wah marne k baad sidha moksha ka adhikari hoga.
Doston, kya aapko pataa hai ki wah din kaun sat ha, jis din Yamuna ji Yamraj se mine k liye gayi thi. Besak wah din Margshirsh mahine ke Shukla paksha ki dvitiya tithi thi. Aur isiliye tabhi se us din ko hamaare yhan Hindu samaj mein Yamdvitiya arthat Bhaiyadooj arthat Bhaubeej ityadi naamon se jaana jane laga. Is tyohar ko desh k alag alag hisson mein alag alag naamon se jana jata hai. Aur log apne apne riti-tiwajon k mutabik is tyohar ko bade hi prem aur ulhas k saath manate hain.
.. Surendra
ek yaadgaar aur sundar katha ke liya aapka hardik dhanybaad
aap ko bhai-dooj ki hardik badhai……………swasth aur khush-haal jivan ki kamna ke sath…………… asha
Very good post.
Aavasyak jankari.
Very nice information.
nice info………………i think that day people go to the bank of yamuna for ”deepdaan”…happy bhai dooj