Entries RSS Comments RSS

मोहब्बत की इंतेहा

April 8th, 2012
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/qjbykkon2ojjw7iu.D.0.john-william-waterhouse-belle-dame-sans-merci.jpg

!!मोहब्बत की इंतेहा
!!
दिल ने कहा भी था मत चाह उसे पागलों की तरह ए दोस्त
वह मगरूर हो जाएगा तेरी मोहब्बत की इंतेहा देख कर...

(((( Shashi ))))


  share this

Tum Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chahiye…

May 8th, 2011



Tum Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chaahiye
Na Ho Tu Udaas Tere Paas Paas Main Rahungi Zindagi Bhar
Saare Sansaar Ka Pyar Maine Tujhi Mein Paya
Tum Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chaahiye

Gham Hai Kise Ho Sara Jahaan Chahe Dushmana Ho
Kya Chahiye Haathon Mein Jo Tera Daman Ho
Tu Hai Jahan Manzil Wahaan
Dhadakano Ki Tarah Apane Dil Men Mujhko Chhupa Lo
Tum Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chaahiye

Darling, Every Breath You Take, Every Move You Make,
I Will Be There.
What Will I Do Without You, I Want To Love You
Forever And Ever And Ever.

Pyar Kabhi Marta Nahin Ham Tum Marte Hain
Hote Hain Woh Log Amar Pyar Jo Karte Hain
Jitni Adaa Utani Vafa
Ik Nazar Pyar Se Dekh Lo Phir Se Zinda Karado
Tum Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chaahiye
Na Ho Tu Udas Tere Pas Pas Main Rahungi Zindagi Bhar
Sare Sansar Ka Pyar Maine Tujhi Men Paya
Tu Mile Dil Khile Aur Jeene Ko Kya Chaahiye
          ((((((( S H A S H I )))))))


  share this

!! Daman-E-Dil !!

October 7th, 2010
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/n3b22jytpudmm55z.D.0.images_copy.jpg
Daman-E-Dil

Shayad Wo Kabhi Aaye Meri Rehguzar Mein !
Bus Isliye Hi Humne Raaste Ko Saja Rakha Hai !!

Shayad Kabhi Wo Yaad Kare Mujhko Kisi Pal !
Bas Isliye Uski Yaad Mein Zamaane Ko Bhula Rakha Hai !!

Shayad Kabhi Wo Puchhe Mujhse Haal-E-Dil Mera !
Bas Isliye Hi Humne Use Dil Mein Basa Rakha Hai !!

Shayad Use Pasand Nahi aankh Mein Aansoo !
Bas Isliye Labon Pe Hasi Ko Saja Rakha Hai !!

Shayad Kabhi Wo Puchh Le  Dil Mein Kaun Hai !
Bas Isliye Dil Pe Uska Naam Likha Rakha Hai !!

Shayad Kabhi Wo Likh le Apne Dil Pe Mera Naam !
Bas Issi Umeed Pe Daman-E-Dil Ko Phaila Rakha Hai !!

(( One Of D Best From My Collection ))
(((( Shashi ))))





  share this

NaseebTera - Mera

September 29th, 2010
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/e4hx6n839ol18kt2.D.0.9ceaab747f2259188054550_copy.jpg
Naseeb Tera - Mera 
Likh Kar Kaagaz Par Mera Naam Mitatey Kyon Ho ?
Karo Humse Ikrar Pyaar Chupaatey Kyon Ho?
Kya Zarurat Thi Meri Zindagi Mein Aane Ki ?
Agar Aa Hi Gaye Ho Toh Mujhe Chhor Kar Jatey Kyo Ho?

Mana Ke Nahi Milta Naseeb Tera Mera 
Phir Humse Aankhein Milatey Kyon Ho?
Khud Hi Kehtey Ho Hum Nahi Tere Kuchh Bhi
Hum Jo Ruthein Toh Manatey Kyon Ho ?
Kah Toh Detey Ho Ke Bhool Jaoge Humein
Tum Bhoologey Kaise Bhool Jatey Kyon  Ho ????
(((((( Shashi ))))))
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/tb5dk5qksmf1kyvw.D.0.free-embroidery-design-74.jpg

  share this

Prem Saagar !!!

September 7th, 2010
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/t15b0ewt8j5z03t1.D.0.frau_mit_kerze1.gif

!! PREM SAAGAR !!

Woh Dil Ko Mere Bhigo Kar Chala Gaya !
Aur Jaate -Jaate Prem Saagar Mein Dubo Gaya !!
Jaate Hue Pyaar Ka Farmaan De Gaya !
Aur Ek Anokhe Bandhan Mein Baandh Gaya !!
Mere Naam Woh Zindagi Apni Kar Gaya !
Magar Jawaab Mein Bhi Sawaal Rakh Gaya !!

(((( Shashi ))))


  share this

Aankho Ka Safar !!!

September 5th, 2010
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/nrgf5lz07kqiogvw.D.0.h2nf8u79vs7dzt1o.D.0.klk.jpg

 !!Aankho Ka Safar !!

Tere Chehre Par Meri Aankhen Safar Karti Hain !
Chaand Ke Pehlu Mein Jaise Raatein Safar Karti Hain !!
Main Tujhe Aur Kya Wafa Ka Sila Duun !
Tere Seene Mein Meri Saanse Safar Karti Hain !!

((((Shashi))))


  share this

PYAAR KI DUNIYA !!

September 4th, 2010
http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/i65kxmhcr3hq5581.D.0.70e544337549ae66affefe6dc995b674.jpg

!! PYAAR KI DUNIYA !!

Agar Mil Jayega Zindagi Mein Tera Sahara !
Meri Zindagi Jaise Khushiyon Se Bhar Jayegi !!

Mehsoos Karo Aankhon Ko Band Kiye  Apni !
Tujhe Mere Pyaar Ki Duniya Nazar Aayegi !!

Ye Chahat Hi To Hai Meri Jo Sirf Tujhse Hai !
Chahat Meri Tujhe Mere Aur Kareeb Layegi !!

Agar Mil Jaye Jo Is Safar Mein Saath Tera !
Meri Zindagi Pyaar Se Yun Gujar Jayegi !!

Door Na Hona Tu Mujhse Kabhi Zindagi Mein !
Mujhse Door Jake Tu bhi Reh Nahi Paayega !!

Khuda Kare Bas Meri Dua Kabool Ho Jaye !
Hai Bharosa   K  Tu Mujhe  Meri ‘JAAN’ Mil Hi Jayega !!

((((( Shashi))))


  share this

Main Mohabbat hoon!!!

May 4th, 2010

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/sbqyi9g19rsioe28.D.0.2420540911_46bcd84084_copy.jpg

Main Mohabbat Hoon!!

Main Mohabbat Hoon Mohabbat Karke Toh Dekh
Main Mohabbat Na Duun Toh Kehna

Main Muskrahat Hoon Mujhe Hasa Kar Toh Dekh
Na Saju Tere Hontho Par To Kehna

Main Khushboo  Hoon Mujhe Mehsoos Karke Toh Dekh
Na Mehkun Teri Zindagi Mein Toh Kehna

Main Dil Hoon Mujhe Sun Kar Toh Dekh
Na Dhadkoon Tere Dil Mein Toh Kehna

Main Phool Hoon Mujhe Laga Kar Toh Dekh
Na Mehkoon Din Raat Toh Kehna

Main Mohabbat Hoon Mujhe Apna Kar Toh Dekh
Na Banoo Main Teriiiiiii To Kehna

(((( Shashi ))))


  share this

Aisa Kabhi Na Karna!!!!

March 14th, 2010

http://datastore.rediff.com/h5000-w5000/thumb/6A67665F6A6A623335/67efbmtyb0rutt52.D.0.cadf7b8970b0f7e7acecb40.jpg
Aisa Kabhi Na Karna..!!!

Tum Rooth Jao Mujhse
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazar Ko Tarsoon
Aisa Kabhi Na Karna
Main Puchh Puchh Haaroon
Sou Sou Sawaal Karke
Tum Kuchh Jawaab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mujhse Hi Milke Hasna
Mujhse Hi Milke Rona
Mujhse Bichhad ke Jee Lo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chaand Banke Rehna
Main Dekhti Rahungi
Kisi Roz Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Chale Jao Jab Bhi
Toh Dekhun Tumhara Rasta
Tum Lout Ke Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna!!!




  share this

Aankhon Mein Kayamat Ke Kaajal

February 3rd, 2010

Golden Song….Aankhon Mein Kayaamat Ke Kaajal …..Hontho Pe Gazab Ki Laali Hai…..
Presentation , Editing & Remixing By Shadow Of D mOOn (Itz Me)…Enjoy D song….



  share this