Ab koi chaand mera hai na sitaara yaaro!
Ab kahan jaaoungi mein dard kai maari yaaro!
Mujhko ko tufaan mein rehne ki bohat aadat hai
Mujh ko le jao na saahil pe khudara yaaro!
Dard ki raah mein tum chaloge kab tak
Abhi kar sakte ho tum humse kinaara yaaro!
Jis se jalte hain mere apno ke dil Bazm mein
Chaidtey kyon ho wohi kissa dubara yaaro!
Hum ne khudaari ki taarikh raqam kar dali
Doobtey waqt kissi ko na pukaara yaaro!
Raat andhere mein mere ghar ko jalaya kis ne
Mujhko ye kaam bhi lagta hain tumhara yaaro!
Hum na honge to bahut yaad karoge humko
Naam likh likh ke mitaaoge hamara yaaro