Ab koi chaand mera hai na sitaara yaaro!
Ab kahan jaaoungi mein dard kai maari yaaro!
Mujhko ko tufaan mein rehne ki bohat aadat hai
Mujh ko le jao na saahil pe khudara yaaro!
Dard ki raah mein tum chaloge kab tak
Abhi kar sakte ho tum humse kinaara yaaro!
Jis se jalte hain mere apno ke dil Bazm mein
Chaidtey kyon ho wohi kissa dubara yaaro!
Hum ne khudaari ki taarikh raqam kar dali
Doobtey waqt kissi ko na pukaara yaaro!
Raat andhere mein mere ghar ko jalaya kis ne
Mujhko ye kaam bhi lagta hain tumhara yaaro!
Hum na honge to bahut yaad karoge humko
Naam likh likh ke mitaaoge hamara yaaro
Dil cheer ke lahoo nikalte kyoon ho, yasa likh kar.. bahut takleef hoti hai,dard se labrej yesi shayari padhkar…
u write real gud poetry manju….
This is a beautiful poem, Manju ….touching, dil se …..and sad.
Marverlous..
Cheer up! dont be so emotional yaar!
naam likh likh ke mitaoge,fantastic
“Dard ki raah mein tum chaloge kab tak, Abhi kar sakte ho tum humse kinaara yaaro”! …… these lines touched my soul….. too good manjuji….
bahut khub….”Hum na honge to bahut yaad karoge humko
Naam likh likh ke mitaaoge hamara yaaro”
Nice poetry …
heart touching emotional poem………. excellent again………
kahu kise main gair ,kise apana, apno ne thukaraya hai , hath tham gairo ne hi apanaya hai, kaun apana kaun paraya sara janha mera hai, aaj apana hai kal gair hoga, gaair hoga apana, fir knyo game dard me khud ko tadpaau. haar din naya hai, aapne bahut sunder likha hai,
aur ek bahuut hi suunder aur emotional kavita……. kitana sab pyaar aur dard……..no other words to comment…… Liked this line :Jis se jalte hain mere apno ke dil Bazm mein; Chaidtey kyon ho wohi kissa dubara yaaro!:…….. from bottom of my heart.