Tumhe kya bataon ke tum mere kya ho ??

June 26th, 2011 by manju.baxi Leave a reply »


Saansein tumhari to unki


dhadkano ka shor  main hun


Is se jyada koi aur kisi ka kya hoga…?


 


Aankhein tumhari to inke


paani ka namak main hoon
Is se jyada koi aur kya kisi ka kya hoga..?


Khushi tumhari to in honthon ki


muskurahat main hoon
Is se jyada koi aur kya kisi ka kya hoga..?


Likhayee tumhari to


is kalam ki syaahi main hoon
Is se jyada koi aur kya kisi ka kya hoga..?


Aawaaz tumhari, to dekho !!


tumhare  aalap me bol main rahi hoon
Is se jyada koi aur kya kisi ka kya hoga..?


 


~ Manju


1 comment

  1. Wah wah!!!!

Leave a Reply


2011  |  A Rediff.com India Ltd. Site.