Archive for June 28th, 2011

More saiyan to hain pardes, main kya karun sawan ko……..

June 28th, 2011


Saawan ye barsata jab bhi hai


Mere sukhe zakhmon ko aur bhi


Gila kar jaata hai……


 


Aur main ateet ke nishaan


Inn boondun me dhoondti reh jaati hun.


Par jab bhi inn boondun ko


Haathon me leti hun….


Ye mere haathon se fisal jaati hain


Aur mere naino mein utar aati hain.


 


Iss baar par ye saawan


Badla-badla lagta hai….


Tum bin ye boondein bhi


Khalish lagti hain mujhko


Aur kaanton si chubhti hai badan mein…..


 


 


Kya tumko bhi firdaus mein


Aisa hee lagta hai mujh bin ???


 


Manju

2011  |  A Rediff.com India Ltd. Site.