Saawan ye barsata jab bhi hai Mere sukhe zakhmon ko aur bhi Gila kar jaata hai…… Aur main ateet ke nishaan Inn boondun me dhoondti reh jaati hun. Par jab bhi inn boondun ko Haathon me leti hun…. Ye mere haathon se fisal jaati hain Aur mere naino mein utar aati hain. Iss baar par ye saawan Badla-badla lagta hai…. Tum bin ye boondein bhi Khalish lagti hain mujhko Aur kaanton si chubhti hai badan mein….. Kya tumko bhi firdaus mein Aisa hee lagta hai mujh bin ??? Manju
More saiyan to hain pardes, main kya karun sawan ko……..
June 28th, 2011 by manju.baxi Leave a reply »Leave a Reply