Dil mein hai kuch dard jo rulata hai muje!
Kaise karnu bayan,kaise satata hai muje!!
Aashak jo nikala aankh se,palak pe aake thaam gaya!
Hamsafar tere dard ka hun,ye batata hai muje!!
Main na tere bas mein hun,tu muje kya daabayega!
Naassur ban ke faath padnuga,yun darata hai muje!!
Faath gaya jo main kabhi,chhiin lunga jindagi teri!
Tere jissm-o-rooh pe hun kkabiz,ye ssunata hai muje!!
Wo tera pyaar thi,mujko maalum hai ba-yaakeen!
Dua kar wo rahe jjanatneashen,yun samajata hai muje!!
Jo gaya wo loth aaye kabhi ye mumkin nahi!
Uski yaadyon ke saye taale kyun baddata hai muje!!
Kar bayaan “TANHA” muje,gar chahiyen tuje rrahatain!
Kahata hai DARD-E-DIL ,kyun chhupata hai muje!!