Jeevan ki dhara mein yunhi moad aa jaata hai!
Ek lahamha khushiyan toe duje pal gam chhaa jaata hai!!
Waqt ki bandishoan se bandha hai insaan bebas!
Ek ki hoti hai maatam pursi,duja gungunata jaata hai!!
Log kahate hai “uske”sitare hain gardish mein!
Ek lahmaha esha hai aata,jo”usse”sshanshah banna jaata hai!!
Koi kahe main rok lunga waqt ki raftaar haaton se!
Annkaar uska usse waqt ke bhanvar mein duubo jaata hai!!
Waqt ki aandhi uuddye,bahahe liye jaati hai sabko!
Kisi ko kinara hai milta,koi lahaharoan mein kho jaata hai!!
Koi raja,koi rannk,sab hai kismat ki baathain!
Waqt ka parinda sabko dor manjil ki thamha jaata hai!!
“TANHA”kahe,waqt ko samaje,waqt ko jaane har insaan!
Waqt,waqt hai,sabhi pe aachachha ya bura aa jaata hai!!